Swagat hai dosto aap sabhi ka hamare is post me aaj hm aapko Raksha Bandhan Wishing Script Download Kaise Kare? iske baare me jaankari dene wale hai agar aapko is trah ke wishing script ki jarurat hai to aap is post ko poora jarur padhe.
Isse aapko kaafi madad milegi kyonki hmne yahan par keval raksha bandhan wishing script download link provide nhi karwayi hai uske saath me aapko sabhi chize vistaar se batayi bhi hui hai ki kis trah se ise blogger website par apply karna hai.
agar aapko bhi is festival season me google adsense se earning karni hai to aap ise download karke blogger par bhi istemaal kar sakte hai.
Raksha Bandhan Wishing Script Download
Aap me jitne bhi log wishing script ke baare me jaante hai to ye bahut hi badhiya baat hai magar jinko iske baare me zyada jaankari nhi hai main unko bta dena chahta hoon ki, wishing script ek prakar ki javascript hoti hai jiska upyog wishing website banane ke liye kiya jaata hai.
agar aap chahe to apni khud ki free wishing website banakar laakho rupay kmaa sakte hai bas iske liye aapko whatsapp par apne website ko viral karwana hoga.
Bas uske liye aapko thodi mehnat karni hogi raksha bandhan script viral karne ke liye agar ek baar aapne apni script viral karwa li to aap perday ka bhi 1000$ kmaa sakte hai.
Raksha Bandhan Script Features:-
- Adsense Friendly
- Lightweight with hi-fi speed
- changes images
- easy coding
- Easily apply Script in your Blogger
- Mobile friendly
- Fast Loading
- Easy to Use
- WhatsApp Share button
- Responsive ads supported
- Finger Print Unlock
Blogger Me Raksha Bandhan Viral Script Kaise Lagaye?
Adhiktar log wishing website ke liye blogger ka hi istemaal karte hai aisa karne ke piche ye reason hai ki blogger website google ki khud ki hosting par hosted hoti hai aur jiska aapko ek rupay bhi charge nhi dena hota hai.
aur ye baaki hosting ke jaisa kabhi bhi down nhi hoti hai aur iske speed bhi bahut hi fast hoti hai agar aapke site par laakho ka real-time bhi aayega to ye website aaram se manage kar leti hai.
chaliye ab jaante hai ki blogger par Rakhsha bandgab viral script kaise lagate hai to iske liye hmne niche kuch steps bataye hue hai jisko aap aasani se follow karke matra 2 minute me hi apni wishing website bnaa sakte hai.
Step 1:- Sabse pehle to aap blogger.com par jakar blogger dashboard open kar lijiye.
Step 2:- Ab aap themes wale button par click kar dijiye.
Step 3:- Jahan par customize likha hua hau theek uske right side me ek chhota sa arrow diya gya hai us par click karne ke baad 3rd option “switch to first generation class theme” par click karke switch with backup par click kar dena hai.
Step 4:- ab edit html par click karke jo hmne aapko xml file di hai use open karke uske sabhi codes ko copy kar lijiye, aur blogger ke edit HTML wale option me aakar pehle wale sabhi codes ko remove karne ke baad hamare wale code ko paste kar dijiye.
Step 5:- last me bas save wale icon par click karne ke baad aapki ye theme save ho jaayegi aur phir aap apne website ko kisi bhi browser me chalu karke dekh sakte hai.
aapki rakhsa bandhan viral script poori trah se blogger website par apply ho chuki hogi yadi iske baad aapko kuch changes karne ho aapko coding ke baare me jaankari hai to aap edit html me jaakar koi bhi apni jarurat ke anusar usme badlaav kar sakte hai.
Final Words:-
Yahan par hmne aapko jo Raksha Bandhan Viral Script download karwayi hai wo hmne nhi banai hai isiliye jisne bhi iske liye mehnat ki hai uska credit usi vyakti ko milta hai.
hmne yahan par aapko keval uske baare me jaankari di hui hai jo ki aapko jarur pasand aayi hogi agar aapka koi bhi sawal ho to niche comment box me likhkar puch sakte hai.
Very useful. Thanks for sharing 🙂