Facebook messenger apne sabhi users ko dhyaan dete hue samay-samay par new updates lata rehta hai jo sabhi facebook messenger users ko pasand bhi aate hai, to abhi 1-2 din pehle hi ek aur naya update hai jisme Night mode/Dark mode ka feature diya hai to aapko Facebook messenger mein Dark Mode kaise enable kaise kare ya kaise enable karna hai wo main aapko is post mein bataunga to agar aapko post pasand aata hai to post ko share jarur kar dena.
facebook messenger |
Facebook messenger use karne wale ke liye acchi khabar yeh ki ab wo bhi messenger mein Dark Mode/Night Mode ke maze le sakte hai.
Facebook Messenger Mein Dark Mode Enable Kaise Kare
Bahut saare log raat ko facebook par chat krte hai jisse ki unki eyes ko nuksaan deti hai to usi ko dhyaan rakte hue facebook messenger mein yeh naya upadate de diya gya hai jiska naam hai Dark mode
To Dark Mode feature ko use karne ke liye sabse pehle aapko apna Facebook Messenger App ko Google Play Store se update karna hoga update karne ke baad aapko kahi par bhi kuch ho Dark mode ya Night mode naam ka koi bhi feature show nhi hoga uske liye aapko kuch setting karni jo main aapko bataunga,
Facebook messenger mein Dark mode enable karne ke liye aapko apne messenger conversation ki kisi bhi ek chat ko open karna hai matlab ki aapko apne messenger me se kisi ko messange karna mein aapko kuch bhi nhi likhna hai,
messenger |
Toh sabse pehle aapko ek emoji send karna hai emoji send karne ke liye emoji wale icon par click kare aur phir aapko waha par 3 option show honge Stickers GIFS aur Emoji to aapko emjoi par click kar dena hai,
uske baad aap smile ke side wali icon par click karna hai jo teddy wala icon hai uske baad sabse niche aa jaana hai emoji wali lines mein,
phir aapko ek moon wala emoji show hoga jaisa ki upar wale screenshot mein show hoo rha hoga bas ab aapko us emoji ko send kar dena hai.
Ab aapko apni facebook messenger ki home screen par aa jana hai uske baad aapko sabse uper apni profile pic show hogi us profile par click karna hoga,
Dark mode |
Ab jo page open hoga usme aapko Dark mode ka option show ho jaayega bas ab aapko isko enable kar lena hai enable karne ke baad aapko facebook messenger dark mode mein ho jaayega matlab ki black screen mein ho jaayega jisse aap ko raat mein chat karne mein koi bhi dikkat nhi hogi
Agar aapko hamara yeh post pasand aaya ho to post ko share jarur karna..