Amazon flex se paise Kaise kamaye To dosto aapne pichle post me, yeh Jana tha ki Video scribe software free me download Kaise Kare Aur Aaj ke is post me hum yeh jaanege ki Amazon Flex kya hai aapne in dino Amazon flex ka Naam bahut hi zyada suna Hoga.
Amazon din par din delivery ko aur bhi fast me laga hua abhi bahut baar aisa hota hai agar aapne koi product ko order kiya to use aapke ghar tak aane me kam se kam 1 week bhi lag jata hai to usi time ko kam karne ke Amazon ne ek nayi service start kari hai jiska naam hai Amazon Flex to isi ke baare me hum aapne aaj ke is post me baat karenge.
Amazon Flex से पैसे कैसे कमाए ?
Amazon Flex amazon company ki traf se start kari gyi ek nayi service hai jisme aap apne khali time me thoda sa work karke accha paisa kama sakta hai.
agar aap per day 2-3 hours bhi kaam karte hai to aap minimum 10800/- monthly asani se earn kar sakte hoon.
( maine yaha par aapko yeh minimum earning batai hai aap isse bhi zyada kama sakte hoo ).
chaliye ab baat karte hai Amazon flex hai kya,jis trah se aapne dekha hoga Amazon ke delivery boy ko home to home customers ke orders ko unke ghar tak pauchana
mgr yeh usse bahut alag mgr kaam wahi Delivery boy ko morning se lekar evening tak work karna hota hai mgr Amazon flex me aisa nahi hai
agar aap ek student hai ya aap kahi part time job karna chahte hai to yeh aapke liye best hoga
kyuki yaha par aisa nahi hai aapko poora din kaam karna hoga jab bhi aapko time mile 1 hour 2 hour kitna bhi time mile aap usi time me yeh work kar sakte hai aur
yeh bhi jaruri nahi hai aapko aapne local area me hi kaam milega jis bhi area ke baare me aap acche se jaante hai waha par yeh order home to home deliver karne ki job mil jaayegi
jiske aapko 120-140/hour ke hisab se aap jitna bhi kaam karte hai aapko utna paisa har week ke Wednesday ko direct aapke Bank account me transfer kar diya jaayega.
Amazon Flex Join karne ke liya kya-kya kare?
Agar aap bhi Amazon Flex ko join karna chahte hai to sabse pehle aapke liye yeh janana bahut jaruri hai ki aapko pass kya kya chize hona jaruri to niche main kuch points diye hai aap ek baar unhe read kar lijiye.
- Aapki age minimum 18+ honi chaiye.
- Ek koi bhi vehicle hona jaruri hai chahe wo 2/3/4 wheeler hi kyu na hoo usi ke saath us vehicle sabse jaruri papers aur aapka driving licence hona jaruri hai.
- Ek bank account jisme aap apne earn kiye hue paise ko withdraw kara sakte hai.
- PAN card ka bahut hi jaruri hai.
- Ek accha Smartphone jo ki sabse zyada jaruri hai.
Note : – Agar aap Delhi,Mumbai ya Bengaluru me hi abhi Amazon Flex ki services ko chalu kiya gya hai to agar aap in city se to aap join kar sakte hai. umeed karta hoo aane wale time me yeh service poore india k liye bhi jald hi chalu kari jaayegi agar ise accha response milta hai to.
Amazon Flex को ज्वाइन कैसे करे ?
Aapne uppar wali heading ko padhkar yeh jaan hi liya hoga ko aapko join karne k liye kin kin chizo ki jarurat padegi aur aap join karna chahte hai
Amazon Flex ko to join karne ke liye is link par https://flex.amazon.in click kare Dhayan rahe agar aap manually visit karte hai
is website ko to url ke last me yeh jarur check kar lijiye ki .com hai .in yaha par iska matlab yeh hai ki .com US(united states) wale logo ke hai aur .in indian logo ke liye to isliye check jarur kar lijiye.
maine abhi upar aapko jo link diya tha jab aap usko open karoge to kuch ek is trah ka Form aayega isme aapse aapki details maangi jaayegi jo ki aapko fill karni hogi jaisi ki
- Aapka first name
- aapka last name
- aap kis city me rhte hai
- aapke area ka pincode jo ki bahut jaruri hai
- aapka mobile no.
- aapka email id
- aapke pass konsa vehicle hai matlab 2/3/4 wheeler jo bhi hoo use select kar dijiye.
Is form ko fill karne ke baad aapke mobile me ek Application download hoo jaayega ya phir aapko email ke jariye applicaton ka download link send kar diya jaayega.
jaha par aap apne sabhi order ki details aur aapne kitne earn kiye sabhi details aapko isi applicaton me mil jaayegi.
To kuch is trah se amazon flex program ko join kar sakte hoo umeed karta hoo ki aapko mera post pasand aaya hoga agar aapko post pasand aaya to is post aapne dosto ke saath share jarur kare Thanks you