Giveaway Kaise Kare |YouTube Channel Par Giveaway Kaise Kare?

Giveaway kaise kare

To aap sabhi ka swagat hai hamare is naye post mein agar aap ek YouTuber ko ya phir Blogger ho to aapke mann mein ek swaal jarur hi aata hoga ki YouTube Channel Par Giveaway Kaise Kare? ya phir Apne Blog par Giveaway Kaise Kare?  
 
to is post ko poora padhne ke baad aap asani se samajh jaayenge ki Giveaway kya hota hai aur  Apne Youtube channel ya phir Blog par kaise karte hai yeh saari cheeze aapko is post ko padne ke baad samajh mein aa jaayegi,
 
 
YouTube Channel Par Giveaway Kaise Kare
YouTube Channel Par Giveaway Kaise Kare
 
 
 

Giveaway Kya Hota Hai?

 
Agar aapko yeh nhi pata hai ki Giveaway ka matlab kya hota hai, to chaliye sabse pehle Giveaway ka matlab hi jaan lete hai Giveaway kehte kise hai,
 
Ab agar aapne notice Kiya ho ki YouTube par bade-bade YouTubers apne YouTube Channel par Giveaway karte hai Jaise Smartphone,Mic,Tripod,Camera ya phir bahut se Youtuber Paytm Cash ka bhi Giveaway karte hain.
 
Simple language mein main agar aapko batao to  Giveaway ka matlab yeh hai ki aapko apne YouTube channel ya phir Blog par ek Giveaway karna hota jaha par aapko winner choose karna hota hai jo bhi winner hoga usko aapko prize dena hoga jo bhi prize rakha hoga giveaway create karne se pehle waise agar aapko abhi samjah mein nhi aaya to post ko poora padhna sab kuch samjah mein aa jaayega.
 

Giveaway karne se pehle yeh jaruri baat jarur jaan lijiye.

 
  • Aapne Youtube Channel ya Blog par koi bhi Fake Giveaway mat karna aapke subscriber ya viewers baad mein aap par Trust nhi karenge.
  • Aap jo bhi Giveaway kare uska jab winner ko choose karenge to usko sabke saamne yani ki ek Video ko record kar lena ya aap instagram par live mein aakar bhi winner ko choose kar sakte hain.
  • jab Giveaway ka winner choose ho jaaye to us winner ka E-mail ID ya Youtube Channel open karke usko bookmark jarur kar lena.
  

Youtube Channel par Giveaway karne ke fayde

 
  • Aapko bahut saare subscriber mil jaate hain aap koi bhi product ka Giveaway rakhte hai to aapko aisa karne se Subscriber mil jaate hain
 
 
 

YouTube Channel Par Giveaway Kaise Kare

 

Waise to Giveaway karne ke liye internet par bahut sare tool mil jaate hai mgr isme se sabse best Gleam.io hai aur isko use karna easy to use hain aur yeh tool bilkul hi free hain agar aap iske kuch Pro feature use karnenge tab aapko uska kuch charge dena hoga,

To sabse aapko ek link create kar karna hoga jo ki aap apne Blog ya Youtube channel mein add kar sakte hain to us link karne ke liye pehle aapko apne mobile mein ya phir laptop mein yeh website open karni hogi jiska naam hai Gleam.io ko open karo, website ko open karne ke baad aapko sabse sign up karna hoga,


YouTube Channel Par Giveaway Kaise Kare
Gleam



Kuch is trah ka page open hoga jab aap sign up/log in karoge to kayi hota kya hai aap sochoge ki facebook se account ko connect kar lo mgr zyadatar yeh nhi ho pata hai to aap facebook se connect karne ke liye try na kare,

 
 
YouTube Channel Par Giveaway Kaise Kare
Gleam website



Apne channel ya Blog mein Giveaway karne ke liye sabse pehle aapko NEW COMPETITION  wale button par click karna hoga click karne baad aapko 5 page show honge unme aapko Giveaway ki detail fill karni hogi jaise ki aap neeche wali page ko dekh karne rahe hai,

 
 

 

YouTube Channel Par Giveaway Kaise Kare
Giveaway website

 

 

 

aapko yaha kuch tab show ho rhe hai jisme se sabse pehle aapko setup wale tab ko fill karna jaruri hai aur usme aap name wale box mein aap Channel ya Blog ke naam ke saath aap kis product ka Giveaway kar rahe hai wo likh dijiye jaise ke maine likha hai,

 

 

 

 2nd box mein aapko wo date choose karne hai jis bhi date aur time se aap apna Giveaway active karana chahte hai aur 3rd box mein aap yeh select karein jis bhi date time par aap apna Giveaway ko Expire karna chahte hai,

 

 

 

4th box mein aapko Timezone select karna hai jaise ji yaha ka Time zone (GMT+5:30) hai,
 
5th box mein agar aap is Giveaway ki koi bhi terms and conditions rakhna chahte hai to wo aap rakh sakte hai waise yeh optional hai agar aapka man karta hai to ise fill kare warna rehne de,
 
6th option hai Captcha ka agar aapko koi captcha code rakhna hai is Giveaway mein to usko aap rakh sakte hai warna pehle wale option par click kar dijiye phir aapko aapke Giveaway mein koi bhi Captcha nhi show hoga,
 
 
YouTube Channel Par Giveaway Kaise Kare
 
 

 

  Aap 2nd tab par click kar dijiye jaha par likha hai User Details likha hai isme aap kuch details likh sakte hai jaise ki aap facebook page ka link de sakte hai aur jo vistior aayenge wo kis trah se Giveaway mein participate kar sakenge E-mail id,facebook,instagram.etc jaise ki maine select kara hua jo bhi visitior aayenge wo is in account se ya use karke participate kar sakenge.

YouTube Channel Par Giveaway Kaise Kare
 
 
Agar aap youtube ke liye Giveaway kar rahe to Youtube par click kare ya phir jaise ki aapko apna instagram par follow bhi karna hai ho aap instagram par click kar lijiye,
jab aap kisi bhi icon par click karenge to aapko bahut sare option milenge jaise watch a video ,comment on video,.etc to wo aapki iccha hai ki aap apne Giveway mein kitne points ko select karana chahte hai.
 
YouTube Channel Par Giveaway Kaise Kare
 
ab aati hai sabse main chiz ye ki jo bhi is Giveaway ka winner hoga uske prize kya milega isliye aapko is step mein prize ka naam fill karna hoga jo bhi prize aap apne winner ko dene wale hain.
 
YouTube Channel Par Giveaway Kaise Kare
Giveaway winner



Ab hamara Giveaway ka link poori trah se ready hai to agar aap ise apne blog ke post mein add karna chahte hain to to is code ko copy karke apne blog post mein add kar sakte hai 


 

ya phir aap youtube channel par Giveaway kar rahe hai aapko ek link milega jis par maine arrow add kiya hua hai upar wali image mein usko aap copy kar lijiye aur Video ki description mein add kar lijiye.

 
 

zyada jaankari ke liye aap yeh wala video dekh sakte hain

 
 
 
 
Toh dosto aapko hamara aaj ka yeh post kaise laga yeh aap mujhe comment karke bataye aur agar aapko koi bhi problem ko is post se related to aap mujhe comment mein pooch sakte hain ya aap instagram par bhi baat kar sakte hain mera instagram ka username hain @lalitv718
 
 

 




1 thought on “Giveaway Kaise Kare |YouTube Channel Par Giveaway Kaise Kare?”

Comments are closed.