Google Lighthouse kya hain 2020 ? Best SEO Checker Tool

google lighthouse kya hain :- To swagat hain dosto aap sabhi ka hamare aaj ke is naye post mein aaj ke is post mein main aapko batane wala hoo ki Google lighthouse Kya hai agar aap ek Blogger to aaj ka yeh post aapke liye bahut hi zyada helpful hoga. Lighthouse Tool ka use karke aap apni website ka score check kar sakte hain to waise janane ke liye poore post ko dhyaan se jarur padhe,

Google Lighthouse
Google lighthouse kya hai
 

Google Lighthouse kya hai

Google Lighthouse ek Google dwara Launch kiya gaya ek SEO checker Extension Tool hai jo khaaskar sabhi bloggers ke liye banaya gya hain is tool ka use karke aap aapni website ke performance aur seo ki report jaan sakte hain ki aapki website ka seo score kya hain aur performance score kya.
 
 
Agar aap Google Chrome Browser use karte hain to aap is Extension ka use karke aap apni website ka seo score check kar sakte hain, Aapko apne chrome browser mein kis trah se Lighthouse extension ko add/Install karne wo aage post mein aapko bata diya jaayega.

Google Lighthouse ko chrome browser mein install kaise kren?

sabse pehle aapko apne chrome browser mein jana  hain hai aur google search  mein jaakar type karne hain Google lighthouse extension aur jo agla page open hoga usme aapko sabse pehli wali link par click kar dena hoga, ya phir aap directly chrome web store mein jaakar search kar sakte  hain google lighthouse to waha par aapko neeche wali image ke jaise interface show hoga aur agar aap direct download karna chahte hain to aap is link kar click karen.
 
 
Google Lighthouse kya hai
 
Jab aap Google chrome web store wale page par pauch jaayenge to aapko waha par kuch is trah se download karna hoga jaise ki main aapko uppar wali image mein bataya hoon, Lighthouse extension ko download karne ke liye aapko Add to chrome wale button par click karna hoga,
 
 
Google Lighthouse kya hai
 
 
 
Phir uske baad aapki computer ya laptop ki screen par kuch is trah ka POP-UP aayega phir aapko Add Extension wale button par click kar dena hoga click kar dene ke Google Lighthouse Extension download hone lag jaayega jab yeh poori trah se download ho jayega uske baad aap deknge ki chrome browser mein sabse upar aapko ek chhota sa circle mein lighthouse ka logo show hone lagega tab aapke chrome browser mein poori trah se Google Lighthouse extension install ho gya hain.
 
Google Lighthouse kya hai
 
 
 
Jab bhi aap kisi bhi website ka seo score check karna ho to sabse pehle us website ka homepage ko open kar lijiye aur uske baad sabse upar jahan par saare chrome extension show hote hain waha par se lighthouse wale icon par click click karo aur click karne ke baad aapko yaha par 2 options show honge ek OPTIONS hoga aur ek GENTRATE REPORT to apni website ki report ko genrate karne se pehle ek setting karni hogi jaise ki neeche wali image mein batayi gyi hain,
 
Google Lighthouse kya hai
 
 
 
Jab aap Options wale button par click karenge to aapko kuch aisa interface show hoga ab isme aapko keval unko hi tick karna hain jiski bhi aapko report chahiye aur haan agar aap sabhi ki report chahiye to saari category ke saamne wale box mein tick karke ok kar dijiye,
 
ab aapko jaisa ki abhi bataya jis bhi website ka score check karna hain chahe to  wo website aapki ho ya phir aapke kisi bhi dost ki hi kyu na sabse pehle us website ka homepage ko open kar lena hain aur lighthouse wale extension wale icon par click kar dena hain click karne ke baad aapko waha ek Genrate Report karke button milega us button par click karne ke baad jab tak ek nayi window open nhi ho jaati aapko kuch bhi nhi karne hain matlab agar aap yeh sochne lage ki yaar abhi to processing ho rahi hai tab tak main kisi aur bhi website ko visit kar leta hain aapko poori processing hone tak ka wait karna hoga,
 
 
Google Lighthouse kya hai
 
 
Poori processing hone ke baad ek nayi window open ho jaayegi aur aapki website ki poori report bhi aa jaayegi ab upar wali image ko dekho isme aapko 5 report milengi jisme se Performance,Accessibility,Best Practice,SEO,Proggessive Web App jaisi kuch report milengi ab aapko yeh lagega ki chal yaar Seo ka score ka barein mein to samajh  mein aa jata hain mgr ab aap yeh sochenge ki yaar yeh baaki ki chaar cheezein kya hain wo uske baarein mein bhi neeche bataya gya hain usko bhi padh lena.

Performance ka matlab kya hai

Google lighthouse kya hai
 
 
Performance score ka matlab yeh hain aapki aapki website ki performance kya hain ya phir kahe to aapki website ki loading kitni hain jaisa ki meri website ke performance score 47 hain to iska matlab hain 47% to to jaisa ki aap sabhi jaante honge ki aapki website ka load time jitna kam hoga utna hi aapke visitor aur aapki website ki ranking ke liye bhi accha hain aur aapki website mein jo bhi kami hogi ya phir kahu to koi bhi error hoga wo sabh kuch aap yaha se dekhkar acche se use fix kar sakte hain.

Accessibility ka matlab kya hain

Androidgyani.com

Accessibility Report mein aapko aapki website ke andar koi html ka attribute ka error hoga uski report aapko de di gyi hain aapko un sabhi error ko fix karna hoga.

Best practices ka matlab kya hain

Add caption
 
 
Best Practices ka matlab yeh hain ki aapki website mein scripting ka error hoga uski report de di jaayegi aap uske fix kar skate hain aur apne website ko pehle se bhi zyada improve kar sakte hain . (google lighthouse kya hain )

SEO Report ka matlab kya hain

Android gyani
 
 
SEO aap jaante hi honge aapki post ko rank karane mein ON Page SEO aur OFF Page SEO ka hona kitna jaruri hota hain agar aapko seo ke baarein mein knowledge nhi hain h to aapko website mein jo bhi seo ki problem hogi wo sabhi yaha par report yaha par dikha di jaayegi aap isko fix karne ke baad check karne ki aapki website mein kitna zyada improvement hua hain.

Progressive web app report ka matlab kya hain

Google lighthouse kya hai
 

Progressive report mein wo sabhi error show karta hain jo aapki website ke theme mein problem hongi jaisi theme mein color ya network ya phir server response report ke baaren mein jaan sakte hain yaha par aapko jo bhi error diye gye hoon aur ho sake to un sabhi ko fix kar lena aapki website ko ek boost mil jaayega.

yeh upar aapne jitni bhi reports dekhi hain yeh google developer aur githib developer ne suggest kiya hain h to iska andaza laga sakte hain ki aapki website mein sabhi error ko fix karne ke baad aapki website mein kitna improvement ho sakta hain.

To aaj ke mein bas itna hi milte hain ek aur naye post mein agar aapko post pasnd aaya ho to post ko share jarur karna aur aapko is post se related koi problem hoti hain aap mujhe comment karke puch sakte hain kam se kam samay se aapke saawal hain jawab dene ki koshish karunga.


THANKS YOU…